zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka waizo dhoka na do insan ko taqdir ka apni sannai ki tujh ko laj bhi hai ya nahin ai musawwir dekh rang udne laga taswir ka aap kyun ghabra gae ye aap ko kya ho gaya meri aahon se koi rishta nahin tasir ka dil se nazuk shai se kab tak ye harifana suluk dekh shisha tuta jata hai teri taswir ka har nafas ki aamad-o-shud par ye hoti hai khushi ek halqa aur bhi kam ho gaya zanjir ka farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka