dushmani larzan hai yaro dosti ke samne tirgi tharra rahi hai raushni ke samne qafile walon se ye manzar na dekha jaega rahbar hain sar ba-sajda gumrahi ke samne ruh to tarikiyon mein gharq ho kar rah gai jism albatta hai apna raushni ke samne ek nazar bas aap mere samne aa jaiye umr bhar baitha rahunga aap hi ke samne tere daman mein mahakte hain hazaron gulsitan aur tera hath phaila hai kali ke samne zindagi mein barha aise bhi lamhe aae hain guftugu sharma gai hai khamushi ke samne jo andhere mein mazalim todte rahte hain 'raaz' aa nahin sakte wo zalim raushni ke samne