zindagi ka hisab bhi to ho

zindagi ka hisab bhi to ho
koi aisi kitab bhi to ho

kya karun us ke main sawalon ka
mo'atabar sa jawab bhi to ho

justuju mein ho jis ki sara jahan
wo hasin intikhab bhi to ho

us se milne to ja rahe ho magar
hath mein ek gulab bhi to ho

sab luta denge tere kahne par
kuchh mujhe dastiyab bhi to ho

jis ko pine se main bahak na sakun
aisi koi sharab bhi to ho

jis ko dekhun to dekhta hi rahun
husn ka wo shabab bhi to ho

dubne ke liye zaruri hai
us ki aankhon mein aab bhi to ho

jis ke khulne se ilm raushan ho
azmaton ka wo bab bhi to ho

us ke aibon pe dalne ke liye
ek mutthi 'turab' bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close