zindagi ka kis liye matam rahe mulk basta hai mite ya hum rahe dil rahe piri mein bhi tera jawan aakhiri dam tak yahi dam-kham rahe chahiye insan ka dil ho ghani pas mal o zar bahut ya kam rahe kya isi jannat ki ye tahris hai jis mein kuchh din hazrat-e-adam rahe wasl se matlab na rakh tu ishq ka dam bhare ja dam mein jab tak dam rahe lag ek din ban ke rahti hai lagaw han lagawat kuchh na kuchh baham rahe ishq ne jis dil pe qabza kar liya phir kahan us mein nashat o gham rahe sharq se jab nur chamka to kahan barg-e-gul par qatra-e-shabnam rahe husn ki duniya ka hai daem shabab hashr tak us ka yahi aalam rahe hai surur-e-husn 'kaifi' la-yazal dar-khur-e-zarf us mein besh o kam rahe