zindagi kaamyab do baba

zindagi kaamyab do baba
ya taka sa jawab do baba

ho sake to kabhi masarrat ka
meri aankhon ko khwab do baba

khar se ho na wasta jis ka
koi aisa gulab do baba

ho ke be-parda khaoge nashtar
apne rukh ko naqab do baba

kis qadr ye anarchy har-su
ho sake to hisab do baba

main haqiqat ko pa ke hun ghamgin
khubsurat sarab do baba

hosh se bhi jo kar de begana
koi aisi sharab do baba

main samundar mein rah ke tishna hun
mujh ko khushiyon ka aab do baba

is sadi ko bhi ab khuda ke liye
ek sunahra sa bab do baba

bakht ki tirgi sahun hans kar
kam se kam itni tab do baba

zor jo tod de tassub ka
koi aisa nisab do baba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close