zindagi kaise lagi diwar se puchhna bhi kya kisi diwar se bas mujhe sar phodne ka shauq tha baat thi diwar ki diwar se tutte dil ki kahani bhi kahi yani phir tuti hui diwar se aao hum diwar-e-girya ka pata puchh lete hain kisi diwar se jo rukawat thi hamari rah ki rasta nikla usi diwar se dastakon se dar the aise be-niyaz lag gain aankhen meri diwar se is taraf suraj nikal aaya hai kya aa rahi hai raushni diwar se