mile be-nishan ke nishan kaise kaise

mile be-nishan ke nishan kaise kaise
bane la-makan ke makan kaise kaise

hue khak daur-e-jahan kaise kaise
hue hadse hain yahan kaise kaise

sune wasl mein hum bayan kaise kaise
bahane kiye wo ayan kaise kaise

qalaq hijr ke hain yahan kaise kaise
guman karte hain wo wahan kaise kaise

hai kis ka dahan wasf-e-lab mein tumhaare
sukhnawar hue be-zaban kaise kaise

na shirin hi hai aur na laila hai afsos
jahan se gae qadr-dan kaise kaise

kai khate hain gham kai hain bala-nosh
hain is khwan par mehman kaise kaise

gul-e-dagh-e-dil aah se kyun na murjhae
ujade chaman ye khizan kaise kaise

nasibon se ghar baithe aae ho ai jaan
koi manta hun main han kaise kaise

ye charkh-e-kuhan aah chun-chun ke mara
tah-e-khak hain naujawan kaise kaise

qayamat ke mazmun hain lahraate dil mein
sadaf mein hain bahr-e-rawan kaise kaise

meri ham-safiri bhi hai khapr tedhi
hain ghup-chup hi shirin-bayan kaise kaise

mah-o-lala-o-shama ke dagh dekho
jale ishq se dud-man kaise kaise

hai kyun wasf-e-yusuf ke jo karwan ka
jahan se gae karwan kaise kaise

ilahi ye kya gardish-e-asman hai
jalane lage mehrban kaise kaise

tasawwur se bhi dekhiye kyun kamar ko
hijab aate hain darmiyan kaise kaise

har ek sham chalte hain tir-e-nigah yan
nikalte hain abru-kaman kaise kaise

chhua tha ki ek ghat angiye ko un ke
hain tufan uthe al-aman kaise kaise

main qurban khudai ke wo but jo puchhe
hain arman dil mein nihan kaise kaise

karun mai se tauba main astaghfirullah
liye ahd-o-paiman mughan kaise kaise

amini hai jibril par garche qasid
hamein ho rahe hain guman kaise kaise

'nasim' un ki bakhshish bhi la-intiha hai
hue jurm hum se ayan kaise kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close