zindagi kat gai sarabon mein khud ko dhunda kiye kitabon mein zindagi dekh le nazar bhar ke hum hain shamil tere kharabon mein har nasha tha lahu ki garmi se ab wo masti kahan sharabon mein mukhtasar ye ki kat gaya rasta kuchh gunahon mein kuchh sawabon mein dard ki dastan adhuri hai hum ko rakh lijiye hisabon mein kyun samundar mein shor hai barpa kaun rahta hai in hababon mein dil ke taron se dard uthta hai soz hota nahin rubabon mein