mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya saya tha wo usi ka jise ham-safar kiya kuchh be-thikana karti rahin hijraten mudam kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya rahna nahin tha sath kisi ke magar rahe karna nahin tha yaad kisi ko magar kiya tu aaina bhi aap tha aur aks bhi tha aap tere jamal hi ne tujhe khush-nazar kiya wo jis dagar milega wahin mar mitunga main tum dekhna safar ka irada agar kiya jab zindagi guzar di aaya hai tab khayal kyun us ka intizar 'zafar' umr bhar kiya