zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya

zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya
ek pagal ne bhala aisi ibarat likh di kya

jis ke daman par lahu ke chhinte hi chhinte rahe
nam par us ke chaman ki ab imamat likh di kya

sach ko sach kahna jahan par ho gunahon mein shumar
ek shair ne jigar se ye haqiqat likh di kya

saikdon masum ke jo qatl ka mujrim hua
dekhiye munsif ne us ki ab zamanat likh di kya

nafraton ke bij jo bota raha hai umr bhar
phir usi ke nam tum ne ye mohabbat likh di kya

jis ne sajda kar liya ho waqt ke shah ka yahan
nam us ke khubsurat si imarat likh di kya

main ne to bas aaina hi ek dikhaya tha faqat
waqt ke munsif ne us ko bhi baghawat likh di kya

waqt ki diwar par main ne jo dekha tha kabhi
chalte chalte us ki ai 'sarim' sarahat likh di kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close