zindagi ke har-nafas ko jaan-e-jaan samjha tha main chand lamhon ko hayat-e-jawidan samjha tha main chhut kar ab qaid-e-rang-o-bu se ye sabit hua wo qafas tha jis ko apna aashiyan samjha tha main mera hi afsana muzmar nala-e-bulbul mein tha jis ko ghaflat se hadis-e-digaran samjha tha main rang-e-rukh betabi-e-dil aah-e-sard-o-ashk-e-garm sab the ye ghammaz jin ko raazdan samjha tha main kya hua ashk-e-musalsal sard aahen kya huin ishq ko to karwan-dar-karwan samjha tha main