zindagi ke hasin bahane se maut milti rahi zamane se mausam-e-gul khizan-mizaj sahi mar ke niklenge aashiyane se ishq ki aag ai maaz-allah na kabhi dab saki dabane se razm-e-dair-o-haram se tang aa kar dil lagaya sharab-khane se faeda kya hai be-shuuron ko naghma-e-arzu sunane se jab zamane ka gham utha na sake hum hi khud uth gae zamane se