zindagi ke hath mein hai aaina tuta hua aadmi se aadmi ka rabta tuta hua narm-o-nazuk phul se chehron pe suraj ki kiran kis tarah tai kar sakenge fasla tuta hua kirchiyan bikhre hue khwabon ki main chunne laga dekh kar rahon mein koi naqsh-e-pa tuta hua garm mausam ka na chhedo zikr is mahaul mein aao phir se jod len wo silsila tuta hua aaj ki duniya mein rahbar ki zarurat hai hamein jod de shayad koi phir hausla tuta hua raushni ka daur hai 'jawed' lekin aaj bhi mere darwaze pe rakkha hai diya tuta hua