suraj ke sath dub gaya intizar bhi kitna karim hai mera parwardigar bhi achchha hai khud hi tod dun main rishta-e-umid kab jaane kaun chhin le ye ikhtiyar bhi lo aaj dur ho gain khush-fahmiyan meri dene laga fareb mera e'tibar bhi us ne tamam 'umr mujhe bewafa kaha lekin tamam 'umr raha mujh se pyar bhi andhe kuen mein dal de suraj-mukhi ka phul phir chandni se chhin le naqsh-o-nigar bhi shadab khetiyan hain farishte liye hue dariya ki lahr aa kabhi dariya ke par bhi