zindagi ke saz par jalte hue naghmat hain raqs-farma shoala-e-dil ki tarah zarraat hain hain bagulon ki tarah tar-e-nafas bahke hue zindagani ki junun-parwar sabhi aayat hain naz-farma jin ki tabani pe thi aql-e-bashar aaj wo khurshid-o-anjum kitne kam-auqat hain hum ki the dildari-e-mauj-e-hawadis par nisar shor-e-tufan se ayaadat dil-nashin jazbaat hain jin ko rakhti thi moattar teri yaadon ki shamim tegh ki jhankar mein gum wo hasin din-raat hain waqt ki mehrab mein ek sham-e-nau raushan karen raazdan-e-arzu hum waris-e-afat hain kaun dhunde garmi-e-rukhsar-e-khuban ai 'sarosh' aatish-e-paikar se shoala-fagan jazbaat hain