wo kya gae payam-e-safar de gae mujhe ek jazba-e-junun-e-asar de gae mujhe har samt dekhti hai jo un ke jamal ko wo ek nigah-e-jalwa-nagar de gae mujhe har-chand karb-e-marg hai mahsus har nafas lutf-e-hayat-e-ishq magar de gae mujhe taswir-e-huzn-o-yas bana kar chale gae lab-ha-e-khushk o dida-e-tar de gae mujhe bedar kar gae sahar-o-sham-e-zindagi aah-o-fughan-e-sham-o-sahar de gae mujhe jamti nahin nigah kisi chiz par bhi ab ek khiragi-e-tab-e-nazar de gae mujhe arz-e-hadis-e-shauq pe sharma ke rah gae kitna hasin jawab magar de gae mujhe mere sukun-e-qalb ko le kar chale gae aur iztirab-e-dard-e-jigar de gae mujhe mahrum-e-shash-jahat nigahon ko kar gae bas ek nigah-e-jaanib-e-dar de gae mujhe 'akhtar' wo aae aur chale bhi gae magar ek lutf-e-iztirab-e-asar de gae mujhe