zindagi khak mein bhi thi tere diwane se ab na utthega bagula koi virane se is qadar ho gai kasrat tere diwanon ki qais ghabra ke chala shahr ko virane se jal-mara aag mohabbat ki ise kahte hain jalna dekha na gaya shama ka parwane se kis ki begana-washi se ye tahayyur aaya ki ab apne bhi nazar aate hain begane se shaikh sahab bhi hue motaqid-e-pir-e-mughan aaj ye taza khabar aai hai mai-khane se itni tauhin na kar meri bala-noshi ki saqiya mujh ko na de map ke paimane se ai 'wafa' apne bhi jab aankh chura lete hain be-rukhi ka ho gila kya kisi begane se