kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui shahr bhar mein hai udasi har taraf chhai hui hae-re ghaarat-gar-e-sabr-o-shakebai hui wo teri tirchhi nazar wo aankh sharmai hui ai saba chalti hai kyun is darja itrai hui kya nahin hai tu wahi us gul ki thukrai hui wasl mein achchhi tarah jab baada-paimai hui ud gai kafur ban ban kar haya aai hui shab ko jab abru-o-mizhgan ki saf-arai hui shokhiyon mein dab gai sharm-o-haya aai hui hae meri be-qarari aur un ka iztirab aur chalte waqt ki baaten wo ghabrai hui qabr tak pahuncha gae sare aziz-o-aqriba aage aage phir rafiq-e-rah tanhai hui han tumhin par jaan deta hun tumhin par hun nisar han tumhin par hai tabiat tut kar aai hui tukde tukde hain jigar ke shisha-e-dil chur-chur ye qayamat hai tumhaari chaal ki dhai hui jis mein taqat hai na harakat hai na khwahish hai na jaan dil nahin ek lash hai sine mein dafnai hui baithte hi baithte mahfil mein be-khud ho gaya dekhte hi dekhte rukhsat tawanai hui khub rone do ki ye roke se ruk sakta nahin mere dil par hai abhi gham ki ghata chhai hui aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui minnaten karta hun dar-guzro khudara bakhsh do ab to nadani hui ya mujh se danai hui shikwa-e-wada-khilafi ka mila achchha jawab peshgi rakkhi thi ek ummid bar aai hui hur par meri tabiat aae kya maqdur hai tauba tauba ye bhi teri tarah harjai hui khud hi socho dekhne walon ka is mein kya qusur jab tamasha tum hue khilqat tamashai hui rote rote thahr jata hun teri sar ki qasam yaad aa jati hai jab wo baat samjhai hui de ke dil ghusse mein wapas un ko pachhtana pada kya raqam jati rahi hai hath se aai hui khush-nasibi us jagah ki tu jahan rakkhe qadam rail bhi phirti hai station par itrai hui jab kaha us ne ki marta hun to kosa is tarah tujh ko aae ya-ilahi ghair ki aai hui rabt badhne par khula karta hai kuchh achchha bura is se kiya hota hai gar rasmi shanasai hui ishq-bazi aur shai hai fisq hai kuchh aur chiz nek-nami ko na kah 'parwin' ki ruswai hui