zindagi khwab-o-haqiqat ka safar ho jaise kabhi sat-rang kabhi khak-basar ho jaise chand ki koi kiran shahr-badar ho jaise shab kabhi aur kabhi shab ki sahar ho jaise kis ki aamad hai ki tare hue raushan har su kahkashan phaili hai yun rahguzar ho jaise chand ne kis ke liye bhejin ru-pahli kirnen chandni chhitki hai daman-e-guhar ho jaise chappe chappe pe hain khush-rang kanwal mahke hue dil mera aap ki yaadon ka nagar ho jaise