zindagi ki aandhi mein zehn ka shajar tanha tum se kuchh sahaara tha aaj hun magar tanha zakhm-khurda lamhon ko maslahat sambhaale hai an-ginat marizon mein ek chaaragar tanha bund jab thi baadal mein zindagi thi halchal mein qaid ab sadaf mein hai ban ke hai guhar tanha tum fuzul baaton ka dil pe bojh mat lena hum to khair kar lenge zindagi basar tanha ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein dhundta phira us ko wo nagar nagar tanha jhutpute ka aalam hai jaane kaun aadam hai ek lahad pe rota hai munh ko dhanp kar tanha