zindagi ki dastan kahte rahe phir bhi khud ko be-zaban kahte rahe dosti tarjih di jati rahi doston ki han mein han kahte rahe ye hamara zarf-e-istiqlal hai la-makani ko makan kahte rahe jab nazar upar uthi aaya khayal hum zamin ko aasman kahte rahe un se aazadi ki qimat puchhiye jo qafas ko aashiyan kahte rahe kis se nakaami ko apne jodte us ko apni khamiyan kahte rahe umr guzri us ki yaadon ke tufail yun na 'shaeq' mehrban kahte rahe