zindagi ki har kahani be-asar ho jaegi hum na honge to ye duniya dar-ba-dar ho jaegi paon patthar kar ke chhodegi agar ruk jaiye chalte rahiye to zamin bhi ham-safar ho jaegi jugnuon ko sath le kar raat raushan kijiye rasta suraj ka dekha to sahar ho jaegi zindagi bhi kash mere sath rahti umr-bhar khair ab jaise bhi honi hai basar ho jaegi tum ne khud hi sar chadhai thi so ab chakkho maza main na kahta tha ki duniya dard-e-sar ho jaegi talkhiyan bhi lazmi hain zindagi ke waste itna mitha ban ke mat rahiye shakar ho jaegi