hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha wabasta ek tar-e-nafas se hain tar-ha kuchh said-zakhm-khurda-e-jaanan hamin nahin har said-gah mein us ki hain bismil shikar-ha aaya wo jab to hum na rahe aap mein gharaz dekha isi tarah se use hum ne bar-ha us gul ke chaak-e-jeb ki hasrat se bagh mein har subh chaak hoti hain jeb-o-kanar-ha us sozan-e-mizha ke tasawwur mein shana-san tute hain ek khalq ke pahlu mein khar-ha kis kis ki dekhiye chaman-e-sana mein bahaar apni faqat do chashm hain aur yan bahaar-ha the kal ye khatt-e-ariz-e-khuban-e-sabza-rang kahte hain aaj khalq jinhen sabza-zar-ha the kal ye shahidan-e-sahi sarw-o-sim-tan shahid hain aaj marg ke jin ke mazar-ha sab ko 'nazir' sona hai ek din ba-zer-e-khak sang-e-mazar us ke hain aaina-dar-ha