zindagi ki rah mein ek mod aisa aaega jis ke aage har koi khud ko akela paega kaun kitna zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko rail jab chalne lagegi faisla ho jaega aaj bhi us ruthne wale se ye ummid hai meri jaanib dekh kar ek bar to muskaega is tarah dega saza apnaiyat ke jurm ki main use apna kahun wo ghair ke gun gaega ab hamari aankh mein manzar na koi khwab hai tujh se ek rishta dhanak rangon ki chadar laega jal chuke mit bhi chuke kab se gharibon ke makan ye dhuan kab tak hamare zehn mein lahraega de to aae us ko sare faisle karne ka haq dil larazta hai muqadma kis ke haq mein jaega