zindagi ki rahaton se mawara ho jaega

zindagi ki rahaton se mawara ho jaega
ek libas-e-be-khudi jis ko ata ho jaega

ahl-e-duniya ek din wo waqt aaega zarur
ye tamanna ka jahan yak-dam fana ho jaega

ek talluq hai baqa-e-zat ka zamin yahan
phul tahni se girega to fana ho jaega

tut jaega ye charkha jism ka chalte hue
aur qaidi qaid se aakhir riha ho jaega

shab ki tariki se jaise phutti hai subh-e-nau
dard jab had se badhega to dawa ho jaega

gar yahi aalam raha aqdar ki taskhir ka
har bura achchha to har achchha bura ho jaega

'taj' kah guzrenge us se jo hamare dil mein hai
bas khafa ho jaega na aur kya ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close