hum khak-nashinon ko rahat ka ujala de kab hum ne kaha tujh se sone ka niwala de rahne ko haweli hai shohrat bhi mili lekin kirdar bhi kuchh tujh ko allah-taala de ab aisi mohabbat se dil kaun lagata hai jo zakhm jigar mein de aur panw mein chhaala de kya uth gai duniya se har rasm-e-wafa ya rab kahta hai ye diwana ek chahne wala de ai yar meri chahat aur zarf ko kya jaane pi lun tere hathon se gar zahr ka pyala de apna ho ki dushman ho ye 'taj' na dekha kar har shakhs ko khush ho kar akhlaq nirala de