zindagi ki sakht zanjiron mein jakda dekh kar aaj tum bhi hans rahe ho mujh ko tanha dekh kar ab to wo bhi mujh se katra kar guzar jaane lage mere mahaul-e-pareshani ka naqsha dekh kar hausla kis mein tha jo deta barabar ka jawab sabr karna hi pada un ka rawayya dekh kar aaj tujh ko bhi hansi aane lagi ai baghban naujawan phulon ke armanon ko pyasa dekh kar ahl-e-sahil ro rahe hain qatre qatre ke liye zarf-e-dariya ro raha hai zarf-e-dariya dekh kar meri aankhon se bhi 'maikash' gir pade ashk-e-alam pir-e-mai-khana ko tanhai mein rota dekh kar