shabnam shabnam rota hai dariya ho kar pyasa hai dil ki banjar dharti par yar ka mausam aaya hai nafrat ka ehsas hua jab jab shisha dekha hai main bhi kam-kam milta hun wo bhi kat kat jata hai mere ghar aa dekh zara har su tu hi bikhra hai raaton ko rona us ka be-khwabi ka qissa hai jitna ji chahe hans lo sab ko ek din rona hai ghar se bahar niklo to duniya jaisi duniya hai rishte-nate khel samajh kaun kisi ka hota hai jis ko apni jaan kahte ho ek din us ko bhi khona hai kachche-pakke rishton ka dukh 'farhan' ko sahna hai