zindagi ko kar gaya jangal koi le gaya khushiyon ka meri pal koi dhans raha hai har qadam mera yahan rah mein darpesh hai daldal koi koi kankar phenkne wala nahin kaise phir ho jhil mein halchal koi zindagi thi ek sahra ki tarah zindagi ko kar gaya jal-thal koi hosh bhi apna nahin rahta mujhe kar raha kitna 'zafar' pagal koi