ret ke ek shahr mein aabaad hain dar dar ke log be-zamin be-asman be-panw ke be-sar ke log mera ghayal jism hai meri rihaish ka pata main jahan rahta hun rahte hain wahan patthar ke log ek ek lamha hai qatra zindagi ke khun ka aafiyat ka sans bhi lete hain to dar dar ke log aur diwaron se diwaren nikalti hain abhi sath rah kar bhi alag rahte hain sare ghar ke log chand mitti ka diya hai ye kise malum tha aasman-dar-asman udte rahe be-par ke log jhank kar dekha hai hum ne waqt ke hammam mein apne hi jaise nazar aae hain duniya-bhar ke log