zindagi ko na bana len wo saza mere baad

zindagi ko na bana len wo saza mere baad
hausla dena unhen mere khuda mere baad

kaun ghunghat ko uthaega sitamgar kah ke
aur phir kis se karenge wo haya mere baad

phir mohabbat ki zamane mein na pursish hogi
roegi siskiyan le le ke wafa mere baad

hath uthte hue un ke na koi dekhega
kis ke aane ki karenge wo dua mere baad

kis qadar gham hai unhen mujh se bichhad jaane ka
ho gae wo bhi zamane se juda mere baad

wo jo kahta tha ki 'nasir' ke liye jita hun
us ka kya jaaniye kya haal hua mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close