bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul ai kash hoti gul-badanon mein bhi khu-e-gul dil dagh dagh us mein khayal-e-khiram-e-naz jis tarah udti phirti ho gulshan mein bu-e-gul aashiq hi jab nahin to khizan hai bahaar-e-husn bulbul ke sath sath gai aabru-e-gul raaz-e-mohabbat aur dil-e-ghuncha ta-ba-kai niklegi bu ke parde mein har aarzu-e-gul lo 'shad' sair-e-gul se bhi nafrat hui unhen samjhe magar ki bu-e-mohabbat hai bu-e-gul