zindagi kya hai tamannaon ka khaara pani

zindagi kya hai tamannaon ka khaara pani
har koi pi ke yahan mange dobara pani

hum hain wo jin ki nigahon ne kuchal dala furaat
kaun hain jin ke labon par hai ye nara pani

kai dariya meri aankhon se rawan hone lage
us ne jab khwab mein ek bar pukara pani

koi sailab umadta tha ghadi se har din
waqt ki shakl mein hum ne to guzara pani

faisla us ne judai ka sunaya to laga
jaise sahra mein koi pyas mein haara pani

is liye log sulagte hi yahan karbal mein
jise milta hai wo pi leta hai sara pani

tishnagi bant ke har qaum ka rahbar ye kahe
sari duniya mein to bahta hai hamara pani

aaj jazbaat hain pyase sar-e-qirtas 'nawed'
kar raha hai mujhe har lafz ishaara pani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close