wo khwab talabgar-e-tamasha bhi nahin hai kahte hain kisi ne use dekha bhi nahin hai pahli si wo khushbu-e-tamanna bhi nahin hai is bar koi khauf hawa ka bhi nahin hai us chand ki angdai se raushan hain dar o baam jo parda-e-shab-rang pe ubhra bhi nahin hai kahte hain ki uthne ko hai ab rasm-e-mohabbat aur is ke siwa koi tamasha bhi nahin hai is shahr ki pahchan thin wo phul si aankhen ab yun hai ki un aankhon ka charcha bhi nahin hai kyun baam pe aawazon ka dhammal hai 'ajmal' is ghar pe to aaseb ka saya bhi nahin hai