zindagi maine hazaron KHwahishon mein banT di

zindagi main ne hazaron khwahishon mein bant di
jaise ek taswir tute aainon mein bant di

ranj-o-gham khauf-o-aziyyat rat-jage mahrumiyan
dil ki basti ab hazaron bastiyon mein bant di

muflisi mein aur kya dete bhala ahbab ko
dard ki daulat bachi thi doston mein bant di

ab tulua ho ya na ho subh-e-karam kya faeda
main ne sham-e-be-basi tarikiyon mein bant di

jab mila izn-e-rihai zindagi ki qaid se
aakhiri sanson ki daulat hasraton mein bant di

mere hamsae ne jo kutte ko phenki thi 'nasir'
main ne wo roti utha kar bachchiyon mein bant di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close