zindagi marg ki mohlat hi sahi bahr-e-wamanda iqamat hi sahi dosti wajh-e-adawat hi sahi dushmani bahr-e-rifaqat hi sahi tul dete ho adawat ko kyun mukhtasar qissa-e-ulfat hi sahi rakh kisi waza se ehsan ki khu mujh ko aazar se rahat hi sahi aap ka bhi nahin chhutta daman mere dar pe meri shamat hi sahi aaqibat hashr ko aana ek din ruth jaana teri aadat hi sahi kuchh bhi ai bakht mayassar hai tujhe ya tajassus se faraghat hi sahi kucha-e-ghair mein chal kar rahiye gar nahin aish to hasrat hi sahi yahi taqrib-e-sitam ho ai kash har tarah ghair se nafrat hi sahi ab to uth aae lahad se be-tab na sahi chaal qayamat hi sahi yaadgari ki koi baat to ho maut apni teri rukhsat hi sahi adl-o-insaf-e-qayamat malum aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi ai 'qalaq' shukr-e-sitam be-ja kyun aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi