ye tasalli hai ki hain nashad sab main akela hi nahin barbaad sab sab ki khatir hain yahan sab ajnabi aur kahne ko hain ghar aabaad sab bhul ke sab ranjishen sab ek hain main bataun sab ko hoga yaad sab sab ko dawa-e-wafa sab ko yaqin is adakari mein hain ustad sab shahr ke hakim ka ye farman hai qaid mein kahlaenge aazad sab chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho us ko kab fursat sune fariyaad sab talkhiyan kaise na hun ashaar mein hum pe jo guzri hamein hai yaad sab