zindagi mein khushi nahin aai ye saba is gali nahin aai aap ko nazm kar nahin paya han mujhe shairi nahin aai baat kahne ka dhang soch liya baat kahni kabhi nahin aai bus ko roke hue the dost mere aur wo bawri nahin aai log sadiyon ke dard kat gae par shab-e-akhiri nahin aai hosh mein ghumte ho sadkon par tum ko aawargi nahin aai ek marhum ki tarah wapas umr guzri hui nahin aai chot aawaz se lagi aur phir hosh mein khamushi nahin aai