na shikwa lab tak aaega na nala dil se niklega mere zabt-e-mohabbat ka bharam mushkil se niklega na hasrat dil se niklegi na arman dil se niklega jo is phande mein phans jaega wo mushkil se niklega khuda rakkhe ye pas-e-waza mein tum se bhi badh kar hai tumhin aa kar nikaloge to arman dil se niklega bahut roegi duniya us bashar ki bad-nasibi par jo dagh-e-arzu le kar teri mahfil se niklega na khinch ai mehrban sine se mere tir rahne de nikal jaega dam mera jo paikan dil se niklega ye maujon ke nahin ai na-khuda taqdir ke bal hain safina gharq ho kar daman-e-sahil se niklega jo dam nikle to meri mushkilen aasan ho jaen magar ye bhi to mushkil hai ki dam mushkil se niklega 'nasim' achchhi ghazal par dad denge ahl-e-dil dil se utar jaega dil mein sher jo bhi dil se niklega