zindagi mein teri uqab hai kya dil mein tere bhi iztirab hai kya ashk aankhon mein lab pe khamoshi ishq tujh ko bhi be-hisab hai kya wo jo jalta hai wo hi suraj hai jo chamakta hai mahtab hai kya log kyon itne dil dukhate hain dil dukhana koi sawab hai kya tere honton pe hai hansi itni dard tujh ko bhi be-hisab hai kya wo jo nakaam ho chuka tha kabhi wo hi duniya mein kaamyab hai kya meri har baat par ye khamoshi ye khamoshi teri jawab hai kya barha log us ko padhte hain us ka chehra koi kitab hai kya tu jo sota nahin hai ai 'rizwan' teri aankhon mein koi khwab hai kya