bina dekhe sunahre KHwab ka naqsha bana Dala

bina dekhe sunahre khwab ka naqsha bana dala
tasawwur aashiqi ka aap ne achchha bana dala

ghazab ka khel dikhlaya hai jadugar bahaaron ne
chhupa kar saya-e-gul mein mujhe kanta bana dala

main ab apne tasawwur mein hamesha qais rahta hun
ye kis laila ne mere zehn ko sahra bana dala

khurach kar zard talwon se bahut lambi masafat ko
bila unwan ise chhota sa ek qissa bana dala

kahan ab khun rulwate hain us ke gham mujhe 'rizwan'
usi ki be-niyazi ne to be-parwa bana dala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close