zindagi mein us ko kaif-e-zindagi hasil nahin jis ka dil raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil nahin husn ke parde mein ho sakta nahin hargiz qarar roz-e-awwal se ye laila khugar-e-mahmil nahin qadr kar dil ki ki dargah-e-khuda mein ai nadim do-jahan ki neamaten hazir hain lekin dil nahin hoshiyar ai mast-o-madhosh-e-jawani hoshiyar ishq wo dariya hai jo minnat-kash-e-sahil nahin zabt-e-nala zabt-e-girya zabt-e-ulfat zabt-e-shauq kis tarah kah dun ki ye aasaniyan mushkil nahin apna rasta apni dhun apna tasawwur apna shauq koi bhi rahbaro yahan begana-e-manzil nahin hai tasawwur ishrat-e-mazi ka aaina-ba-dast dil wahi dil hai magar wo garmi-e-mahfil nahin der kya hai aa mere dil mein sama ja barq-e-naz shikwa-sanji fitrat-e-ehsan mein dakhil nahin iltimas-e-shauq par 'ehsan' mahshar dah gaya un ka sharma kar ye kahna main tere qabil nahin