zindagi mushkil kabhi aisi na thi aur dil ko be-dili aisi na thi hum ne samjha tha na jab tak ramz-e-shauq dil ki aawara-rawi aisi na thi baam par jab tak ki tum aae na the baam-o-dar par raushni aisi na thi jab talak hasil na tha tera niyaz apni shan-e-bandagi aisi na thi mit chuka hai is zamane se khulus us ki pahle to kami aisi na thi hum pahunch jate sar-e-manzil magar rahbar ki rahbari aisi na thi aap jab tak samne aae na the hum pe tari be-khudi aisi na thi jab talak pahlu mein wo aae na the lazzat-e-hamsaegi aisi na thi wo hasin hai 'auj' har mahfil ki jaan us mein pahle dilkashi aisi na thi