zindagi naghma-sara ho jae dard ki koi dawa ho jae har ghadi hath hon buland mere yahi maqbul dua ho jae aah mazlum ki jab bhi nikle arsh tak hashr bapa ho jae muntazir log to rahte hain sada sar pe kab zill-e-huma ho jae bahr-e-afkar mein ghaltan hai bashar soch had se na siwa ho jae