zindagi nam hai jis chiz ka kya hoti hai chalti phirti ye zamane ki hawa hoti hai sair duniya ki na kuchh yaad-e-khuda hoti hai umr inhin jhagdon mein taraj-e-fana hoti hai ruh jab qalib-e-khaki se juda hoti hai kis ko malum kahan jati hai kya hoti hai fikr-e-duniya se siwa ho jise uqba ka khayal wo tabiat hi zamane se juda hoti hai dil-e-pur-gham abhi ban jae dawa-e-taskin wo nazar dal jo manus-e-wafa hoti hai sadiqul-qaul ki pahchan yahi hai ai 'naz' dil mein dar hota hai aankhon mein haya hoti hai