zindagi ne bakhsha hai zahr-e-agahi mujh ko kar diya gaya andha de ke raushni mujh ko khwab ka har ek shisha sau jagah se tuta hai kis qadar padi mahngi aaina-gari mujh ko dusron se nafrat ka khwab tak na dekhunga dosto khud apne se ishq hi sahi mujh ko main jahan bhi hun lekin mutmain to baitha hun tere rushd se behtar meri gumrahi mujh ko is tarah to but ban kar mere pas mat tu baith khar ban ke chubhti hai teri khamushi mujh ko ye mera muqaddar hai ya teri shararat hai kyun lahu rulati hai teri dosti mujh ko bas tujhe hi pane ko waqf thi meri parwaz le uda khalaon mein zauq-e-bandagi mujh ko main ki din ka beta hun raushni ugalta hun kya bhala daraegi shab ki tirgi mujh ko khwab ke jaziron par git kis tarah likkhun har-qadam pe dasti hai jab ki zindagi mujh ko