zindagi sham ko daftar se nikal aati hai

zindagi sham ko daftar se nikal aati hai
aur udasi mere andar se nikal aati hai

chadaren jitni bhi tabdil karun tere baad
teri khushbu mere bistar se nikal aati hai

main hun wo aag ki jis aag ko chakhne ke liye
jal-pari chal ke samundar se nikal aati hai

jis qadar aap batate hain mujhe sahra mein
itni virani mere ghar se nikal aati hai

jab bhi hoti hai charaghon se mulaqat meri
lahlaha kar meri lau sar se nikal aati hai

hazrat-e-hur ne nikal kar ye dikhaya hum ko
raushni raat ke lashkar se nikal aati hai

sham ke waqt samundar mein lahu ghulte hi
teri surat mere saghar se nikal aati hai

kahan dabti hai dabane se mohabbat 'arman'
ye wo konpal hai jo patthar se nikal aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close