gae wo din ki koi gham-shanas aaega

gae wo din ki koi gham-shanas aaega
jo aa gaya bhi to kya dil ko ras aaega

chalo to rah-e-mohabbat mein be-talab ho kar
maza safar ka to bin-bhuk-pyas aaega

madad ko jis ki khada hun main sar-nigun ho kar
bade ghurur mein wo na-sipas aaega

wo saf-go hai magar baat ka hunar sikhe
badan hasin hai to kya be-libas aaega

ajab nahin ki tere dar pe ek roz ye shakhs
har ek samt se ho kar udas aaega

main duriyon ka naya bab khol rakhta hun
abhi wo shakhs mere aur pas aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close