zindagi soz bane saz na hone pae dil to tute magar aawaz na hone pae dard agar shamil-e-awaz na hone pae koi monis koi dam-saz na hone pae jam se kuchh ko pila kuchh ko nigahon se magar koi mai-kash nazar-andaz na hone pae lutf jab hai ki rahe ishq sada mahw-e-niyaz aur is baat pe bhi naz na hone pae khud ko karna hai junun ke jo hawale to ye sun aql hargiz khalal-andaz na hone pae jis mein anjam ka ho khauf sada daman-gir aise afsane ka aaghaz na hone pae ishq aur husn milen mil ke khuda ban jaen gar hawas tafraqa-andaz na hone pae aashiyan kunj-e-qafas se bhi giran-tar ho 'sahar' gar muawin par-e-parwaz na hone pae