liya na hath se jis ne salam aashiq ka wo kan dhar ke sune kya payam aashiq ka qusur-e-shaikh hai firdaus o hur ki khwahish teri gali mein hai pyare maqam aashiq ka ghurur-e-husn na kar jazba-e-zulekha dekh kiya hai ishq ne yusuf ghulam aashiq ka tere hi nam ki simran hai mujh ko aur tasbih tu hi hai wird har ek subh-o-sham aashiq ka wafur-e-ishq ko aashiq hi jaanta hai 'nasir' har ek samajh nahin sakta kalam aashiq ka